Saturday, July 26, 2014

Dekhlun Unka Darbaar Nazdeek Se Naat full lyrics

Jindagi Me KHUDA Wo Ghadi Kar Ata
Dekh Lun Unka Darbaar Nazdeek Se..
Jisko Dekhe Bina Meine DIL De Diya..
Me Karun Uska Deedaar Nazdeek Se...
.
AALAHAZRAT Ne Likha Hai Aisa Salam..
Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam...
Shamm eBazme Hedayat Pe Lakhon Salam...
Padhne Wale Padhen Jitney Hi Door Se..
Sunte Hain Mere Sarkaar Nazdeek Se..
.
Karbala Me Bataya Hai ye ASGAR ALI
Hai Mere Jism Me Khoon E HAZRAT ALI
Teer Jalim Dikhata Hai Kiun Door Se...
Dam Agar Hai To Kar Waar Nazdeek Se...
.
Sunle HASSAN Hai Ye Aqidah Mera
Jab MUJAHID Sa Ek Na Khuda Mil Gaya...
Jist Me Lakhon Tufaan Aaye To Kya..
Karte Hain Wo Hume Paar Nazdeek Se...





Khubsoorat ZIDAN Classic Attar, Click here to Buy

Wednesday, July 9, 2014

Ye Saba Sabab Kya Hai Kuch Bata MADINE Ka Naat Lyrics


Ye Saba Sabab Kya Hai Kuch Bata MADINE Ka
Jo Gaya MADINE Me Hogaya MADINA Ka


Shahil E Samandar Bhi Kiun Uchal Ke Aati Hai
Machliyan Bhi Takti Hain Rasta MADINE Ka


Julf Apne Eimaan Ki Tu Sawar Le Jaker
Karbala Me Rakha Hai Aayina MADINE Ka


Kiun Na AALAHAZRAT Ki Shayari Me Ho Taseer
Jism Hai Bareilly Ka Dil To Tha MADINE Ka


Is Ke Badle Ye MOULA Tujh Se Kuch Na Mangenge
Ek Safar Kara De Bas Ye KHUDA MADINE Ka


Aasman Ki Khwahis Hai Me Jameen Ban Jaun
Jabse Usne Dekha Hai Martaba MADINE Ka


Download Mp3

Download PDF



Sunday, June 15, 2014

Aaya hai Mahina RAMZAN ka


Bas na Chalayga Kuch bhi Ab Shaitan ka,,



Aaya hai muskrata hua mahina RAMZAN ka,



Ghar Ghar me Jalaegi shama fakt Toheed ki,,,,



Arsh Chuyega Sajda kamzor bebas Insaan ka ,,,,



Barsega Rahmaton ka sawan Har soohar ka,,,,



Har Zuban pai hoga Naghma Fakt Rahmaan ka,,,


Qismat walo ko milta hai mouka Apne pahchan ka...

Sunday, June 8, 2014

Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun full Lyrics

Aakhri Umr Hai Kya Rounak E Dunya Dekhun 
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Aakhri Waqt Hai Kya Rounak E Dunya Dekhun 
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun

Isne Bhi MADINA Dekhliya,  Usne Bhi MADINA Dekhliya..
Aiye Kaas Kabhi To Me Bhi Kahun, Meine Bi MADINA Dekhliya
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Hajion Ke Ban Rahen Hain Kafile Fir Ya Nabi,
 Phir Nazar Me Bas Gaye Haj Ke Manajir Ya  Nabi..
Aah Mera Kya Banega Gar Nah Haj Par Ja Saka,
 Tum Bulalo Tum Bulane Par Ho Kadir Ya Nabi…
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Har Waqt Tassawar Me Madine Ki Gali Ho,
 Aur Yaad Muhammad Ki Mere Dil Basi Ho…
Aiye Kaash Me Ban Jaun Madine Ka Musafir,
 Fir Rote Hue Taiba Ko Baarat Chali Ho…
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Allah Ka Ghar Khuld Ka Naksha Nahi Dekha,
 Kuch Bhi Nahi Dekha Jo MADINA Nahi Dekha…
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Ummid Hai Sarkaar Kadmon Me Bulayenge ,
Karam Ki Jab Nazar Hogi Hum Bhi Madine Jayenge…
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Darbaare Muhammad Ka Khazina Lilkh De, 

Shani Na Ho Jiska Wo Naginah Likhde,
Aiye Kaas Ho Taqdeer Hum Sab Ki Kismat Me, 

Madfan Ke Liye Sirf MADINA Likh De…
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Main MADINAY Chala, Mein MADINAY Chala,
Phir Karam Ho Gaya Main MADINAY Chala.
Kaif Sa Cha Gaya Main MADINAY Chala,
Jhoomta Jhoomta Main MADINAY Chala.
Mere Aaqa Ka Darr Hoga Paish-E-Nazar,
Chahiye Aur Kya Main MADINAY Chala.

Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun

Ek Roz Hoga Jana Sarkaar Ki Gali Me 
Hoga Wahin Thikana Sarkaar Ki Gali Me..

Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun

Teri Jaliyon Ke Neeche, Teri Rehmaton Ke Saaye (2)
Jise Dekhni Ho Jannat, Woh MADINA Dekh Aaye 

Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun

Bulalo Ya Rasool Allah… Bulalo Ya Rasool Allah… 

Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun

Ya Moula Meri Aankhen Mujhe Wapas Kar De
Taake Is Baar Me Jee Bhar Ke MADINA Dekhun..

Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun

Jo MADINA Hum Bhi Jaate To Kuch Aur Baat Hoti 
Wohi Raah Bhool Jaate, To Kuch Aur Baat Hoti
Meri Aankh Jab Bhi Khulti Teri Rehmato Se AaQa
Tujhe Saamne Jo Paata, To Kuch Aur Baat Hoti

Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun

Bulalo Phir Mujhay Ey Shahe Bahrobar, MADINAY Main
Main Phir Rota Huwa Aaoon, Teray Dar Par MADINAY Mein.

Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun






Receive All Free Updates Via Facebook.