Sunday, June 15, 2014

Aaya hai Mahina RAMZAN ka


Bas na Chalayga Kuch bhi Ab Shaitan ka,,



Aaya hai muskrata hua mahina RAMZAN ka,



Ghar Ghar me Jalaegi shama fakt Toheed ki,,,,



Arsh Chuyega Sajda kamzor bebas Insaan ka ,,,,



Barsega Rahmaton ka sawan Har soohar ka,,,,



Har Zuban pai hoga Naghma Fakt Rahmaan ka,,,


Qismat walo ko milta hai mouka Apne pahchan ka...

Sunday, June 8, 2014

Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun full Lyrics

Aakhri Umr Hai Kya Rounak E Dunya Dekhun 
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Aakhri Waqt Hai Kya Rounak E Dunya Dekhun 
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun

Isne Bhi MADINA Dekhliya,  Usne Bhi MADINA Dekhliya..
Aiye Kaas Kabhi To Me Bhi Kahun, Meine Bi MADINA Dekhliya
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Hajion Ke Ban Rahen Hain Kafile Fir Ya Nabi,
 Phir Nazar Me Bas Gaye Haj Ke Manajir Ya  Nabi..
Aah Mera Kya Banega Gar Nah Haj Par Ja Saka,
 Tum Bulalo Tum Bulane Par Ho Kadir Ya Nabi…
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Har Waqt Tassawar Me Madine Ki Gali Ho,
 Aur Yaad Muhammad Ki Mere Dil Basi Ho…
Aiye Kaash Me Ban Jaun Madine Ka Musafir,
 Fir Rote Hue Taiba Ko Baarat Chali Ho…
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Allah Ka Ghar Khuld Ka Naksha Nahi Dekha,
 Kuch Bhi Nahi Dekha Jo MADINA Nahi Dekha…
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Ummid Hai Sarkaar Kadmon Me Bulayenge ,
Karam Ki Jab Nazar Hogi Hum Bhi Madine Jayenge…
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Darbaare Muhammad Ka Khazina Lilkh De, 

Shani Na Ho Jiska Wo Naginah Likhde,
Aiye Kaas Ho Taqdeer Hum Sab Ki Kismat Me, 

Madfan Ke Liye Sirf MADINA Likh De…
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Main MADINAY Chala, Mein MADINAY Chala,
Phir Karam Ho Gaya Main MADINAY Chala.
Kaif Sa Cha Gaya Main MADINAY Chala,
Jhoomta Jhoomta Main MADINAY Chala.
Mere Aaqa Ka Darr Hoga Paish-E-Nazar,
Chahiye Aur Kya Main MADINAY Chala.

Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun

Ek Roz Hoga Jana Sarkaar Ki Gali Me 
Hoga Wahin Thikana Sarkaar Ki Gali Me..

Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun

Teri Jaliyon Ke Neeche, Teri Rehmaton Ke Saaye (2)
Jise Dekhni Ho Jannat, Woh MADINA Dekh Aaye 

Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun

Bulalo Ya Rasool Allah… Bulalo Ya Rasool Allah… 

Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun

Ya Moula Meri Aankhen Mujhe Wapas Kar De
Taake Is Baar Me Jee Bhar Ke MADINA Dekhun..

Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun

Jo MADINA Hum Bhi Jaate To Kuch Aur Baat Hoti 
Wohi Raah Bhool Jaate, To Kuch Aur Baat Hoti
Meri Aankh Jab Bhi Khulti Teri Rehmato Se AaQa
Tujhe Saamne Jo Paata, To Kuch Aur Baat Hoti

Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun

Bulalo Phir Mujhay Ey Shahe Bahrobar, MADINAY Main
Main Phir Rota Huwa Aaoon, Teray Dar Par MADINAY Mein.

Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun






Ishq Hai Ye Tamasha Nahi Hai full Naat Lyrics

Zikr-E-Aaqa Se Seena Saja Hai Ishq Hai Ye Tamasha Nahi Hai
Wo Bhi Dil Koi Dil Hai Jahan Main Jis Main Tasvire TAIBA Nahi Hai

Laa Makaan Tak Hai Teri Rasayi Geet Gati Hai Saari Khudayi
Wo Jaga Hi Nahi Do Jahan Main Jis Jaga Tera Charcha Nahi Hai

Hum Hussaini Hai Karbal Ke Shaida Dil Kabhi Bhi Na Hota Hai Maila
Kufr Ki Dhamkiyon Se Dare Jo Aashiqon Ka Kaleja Nahi Hai

Dushman-E-Mustafa Se Kehdo Khair Chahe To Hum Se Na Uljein
Hum Ghulaman-E-Ahmed Raza Hain Koi Bhi Hum Se Jeeta Nahi Hai

Khaak-E-Paaye Nabi Mou Pe Malna Ittar Ho Mustafa Ka Pasina 
Unki Chadar Ka Tukda Kafan Ho Aur Koi Tamanna Nahi Hai

Haj Ki Daulath Jisse Milna Paye Jaye Jaye Wo Ghar Apne Jaye
Maa Ke Qadmon Ko Wo Chumlein Jo Sang-E-Aswad Ko Chuma Nahi Hai

Ae Meri Maut Ruk Ja Abhi Tu Phir Chaleinge Jahan Tu Kahegi
Apni Aankhon Se Aaqa Ka Rauza Main Ne Jee Bhar Ke Dekha Nahi Hai

Wednesday, June 4, 2014

Nabi ka chahne wala akela ho nahi sakta

Zamane ki nigaho me woh ruswa ho nahi sakta..
NABI ﷺ karden jise uncha woh neecha ho nahi sakta..

Har ik zarrah Zameen e karbala ka chum kar bola
Koi bachcha ALI Asgar ke jaisa ho nahi sakta...

NABI ﷺ ki naat padta hu farishte sath hote hai
NABI ﷺ ka chahne wala akela ho nahi sakta...
__

Receive All Free Updates Via Facebook.