Friday, August 9, 2013

AALAHAZRAT Ka Tarana Lyrics

AALAHAZRAT Ka Tarana ,     Jab Sunayega Diwaana

Sun Ke SUNNI Machalta Rahega.. AALAHAZRAT Ka Danka Bajega

 ...

Ilm O Hiqmat Ka Usko Khazana Mila ...  Jisko AHMAD RAZA Ka Jamana Mila

Dekho Aisa Naqee Ka Gharana Mila,,,  Khuld Ka Jis Jagah Se Thikana Mila

Ye Jamane Ko Sunado..         Saari Dunya Ko Batado,,

Abto Razwi Hi Sikka Chalega.. AALAHAZRAT Ka Danka Bajega

 ......

Jab Gulam E Raza Ki Sawari Chale..     Deobandi Ke Seene Pe Aari Cahle..

Jab Wo Banke Raza Ki Katari Chale..  Saans Bhi Deobandi Ki Bhari Chale

AALAHAZRAT Ka Mastana..     Jo RAZA Ka Hai Deewana

Dusmanon Se Wo Dat Ke Kahega...  AALAHAZARAT KA DANKA Bajega..

 .......

AALAHAZRAT Ka Nagma Sunaate Raho.. Leke Naam E RAZA Muskurate Raho..

Aur Naara E AALAHAZRAT Lagate Raho.. Jalne Walon Ko Har Dam Jalate Raho..

SUNNI Iska Gam Na Karna.. Har Dam Aage Badhte Rahna,,

Jalne Wala Hamesha Jalega.. AALAHAZARAT Ka DANKA Bajega..
...


Wednesday, August 7, 2013

Dunya me jo jiye hain KHUDA ki raza ke sath

Dunya Me Jo Jiye Hain KHUDA Ki Raza Ke Saath..
Jannat Me Jaa Rahe Hain RASOOL e KHUDA Ke Saath..

Itra Rahe Hain Apne Muqaddar Pe UMMATI
Kiun Ke Hai Unka Rista Dar E MUSTAFA Ke Saath

Abu Bakkar Or Umar Ki Muhabbat To Dekhiye
Hain Aaj Bhi Mazar Me KHAIRUL WARA Ke Sath...

Rahon Se Door Ho Gayeen Duswariyaan Meri
Nikla Me Apne Ghar Se Jo MAA Ki Dua Ke Saath

Ye Najdion Na Tum Se Banegi Kabhi Meri
Tum Thanwi Ke Saath, Me AHMAD RAZA Ke Saath

Aaye Jo Mout Lene Mujhe Ye Mere Khuda
Naat E NABI Ko Padh Ke Me Jaaun Kaza Ke Saath



YA RAB Meri KISMAT Me Aisa SAFAR Likh De

Aansu Bikhre Hai ANWAAR-E-MADINE Me

Jis Waqt Se Hai SARKAR MADINE Me


YA RAB Meri KISMAT Me Aisa SAFAR Likh De


SEHRI Karu *MAKKE Me   Aur   IFTAR Ho *MADINE Me
Noor E Awwal Ke Sadqe Mili Rousni..
Phul To Phul, Kharon Me Hai Dilkashi..
Sahne Dil Me Chitakne Lagi Chandni..
Chand Bhi Jhum Kar Keh Raha Hai Yahi...
Ya NABI Ya NABI Ya NABI Ya NABI


Dil NABI Ki Mohabbat Se Aabad Hai
Jo Hai Gafil NABI Se Wo Barbaad Hai..
Jo Gulam E NABI Hai Wahi Saad Hai..
Haath Pe Jaib Se Aayi Aawaz Bhi
Ya NABI Ya NABI Ya NABI Ya NABI


Unke Kadmon Ko Chume Ye Dharti Gagan
Unki Khusboo Se Maheke Jawar E Chaman
Paake Unka Paseena Ye Boli Dulhan
Nasl Dar Nasl Jannat Ki Khusboo Chali
Ya NABI Ya NABI Ya NABI Ya NABI


Saare Aalam Pe Unki Nawazis Hui
Rahmat O Noor Ki Aisi Barish Hui
Me MADINA Chalun Jab Ye Khwahis Hui
Dil Ki Dhadkan Kahe Bas Yahi Har Ghadi
Ya NABI Ya NABI Ya NABI Ya NABI


Aaj Dilkash Ki Dilkash Jo Aawaz Hai
Sarwar E Deen Ki Midhat Ka Ezaaz Hai
Madhe SHAHE UMAM Meri Dam Saad Hai
Ruh Nikle Gi Ye Gungunati Hui
Ya NABI Ya NABI Ya NABI Ya NABI


Receive All Free Updates Via Facebook.