Aakhri Umr Hai Kya Rounak E Dunya Dekhun
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Aakhri Waqt Hai Kya Rounak E Dunya Dekhun
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Aiye
Kaas Kabhi To Me Bhi Kahun, Meine Bi MADINA Dekhliya
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh
MADINA Dekhun
Hajion Ke Ban Rahen Hain Kafile Fir Ya
Nabi,
Phir Nazar Me Bas Gaye Haj Ke Manajir
Ya Nabi..
Aah Mera Kya Banega Gar Nah Haj Par Ja
Saka,
Tum
Bulalo Tum Bulane Par Ho Kadir Ya Nabi…
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh
MADINA Dekhun
Har Waqt Tassawar Me Madine Ki Gali Ho,
Aur Yaad Muhammad Ki Mere Dil Basi
Ho…
Aiye Kaash Me Ban Jaun Madine Ka Musafir,
Fir
Rote Hue Taiba Ko Baarat Chali Ho…
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh
MADINA Dekhun
Allah Ka Ghar Khuld Ka Naksha Nahi Dekha,
Kuch
Bhi Nahi Dekha Jo MADINA Nahi Dekha…
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh
MADINA Dekhun
Ummid Hai Sarkaar Kadmon Me Bulayenge ,
Karam Ki
Jab Nazar Hogi Hum Bhi Madine Jayenge…
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh
MADINA Dekhun
Darbaare Muhammad Ka Khazina Lilkh De,
Shani Na Ho Jiska Wo Naginah Likhde,
Aiye
Kaas Ho Taqdeer Hum Sab Ki Kismat Me,
Madfan Ke Liye Sirf MADINA Likh De…
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh
MADINA Dekhun
Main MADINAY Chala, Mein MADINAY Chala,
Phir Karam Ho Gaya Main MADINAY Chala.
Kaif Sa Cha Gaya Main MADINAY Chala,
Jhoomta Jhoomta Main MADINAY Chala.
Mere Aaqa Ka Darr Hoga Paish-E-Nazar,
Chahiye Aur Kya Main MADINAY Chala.
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Ek Roz Hoga Jana Sarkaar Ki Gali Me
Hoga Wahin Thikana Sarkaar Ki Gali Me..
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Teri Jaliyon Ke Neeche, Teri Rehmaton Ke
Saaye (2)
Jise Dekhni Ho Jannat, Woh MADINA Dekh
Aaye
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Bulalo Ya Rasool Allah… Bulalo Ya Rasool
Allah…
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Ya Moula Meri Aankhen Mujhe Wapas Kar De
Taake Is Baar Me Jee Bhar Ke MADINA
Dekhun..
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Jo MADINA Hum Bhi Jaate To Kuch Aur Baat
Hoti
Wohi Raah Bhool Jaate, To Kuch Aur Baat
Hoti
Meri Aankh Jab Bhi Khulti Teri Rehmato Se
AaQa
Tujhe Saamne Jo Paata, To Kuch Aur Baat
Hoti
Abto Bas Ek Hi Dhun Hai Keh MADINA Dekhun
Bulalo Phir Mujhay Ey Shahe Bahrobar,
MADINAY Main
Main Phir Rota Huwa Aaoon, Teray Dar Par
MADINAY Mein.
No comments:
Post a Comment