Bahare
Jeena Ka Hua Zikr Jis Dam,
MADINE Ke Zarre Ki Yaad Aagayi Hai,
Gulabo
Chameli Se Faili Jo Khusbu,
NABI Ke Paseene
Ki Yaad
Aagayi Hai.
Sitaron
Ki Baaten Bohot Khub Lekin,
Nazaron
Ki Baaten Bohot Khub Lekin,
Mujhe
Khak E Paaye NABI Chumne Do,
Ke
Purnoor Talwe Ki Yaad Aagayi Hai.
Jo
Momeen Hain Wo Hargiz Marte Nahi Hain,
Haqikat
Hai Ye Dawa Nahi Hai,
Dalil
Pe Jab Mujhse Manga Kisine
To Kalyar Ke Dulhe Ki Yaad Aagayi
Hai.
Sada
Apni Palkeen Bheegoti Hain Maayen,
Chaba
Kar Loqma Khilati Hain Maayen.
Chala
Tazkira Jab Gilaf e Haram Ka,
To
Maa Ke Dopatte Ki Yaad Aagayi Hai...
Jahazo
Ka Udna Hawaon Me Dekha,
Wo
Rocket Ka Chalna Falaon Me Dekha..
Jo
Science Ko Meine Fizaon Me Dekha,
To
KHWAZA Ke Jute Ki Yaad Aagayi Hai.
Darayega
Kya Mujhko Tufan Gamka,
Dehel Jayega Seena Julm O Sitam Ka,
HUSSAINI Hun Main, Mout Se Kiun Darunga.
NABI Ke Nawase Ki Yaad Aagayi Hai...
Kahin
Bhi Rahun Me Nahi Hun Akela,
Mere
Sar Pe Rehta Hai Walion Ka Shaya.
Kabhi
Dham, (Dham Nagar) Ajmeer,
Kaliyar, Kabhi
To
Bareilly, Kachochy Ki Yaad Aagayi Hai.,
.