Badi Dilkashi hai NABI ki Gali me
.
Keh JANNAT Bani hai NABI ki Gali me
.
Munawar hua Ja raha hai Jamana,
ye Kya Roshni hai NABI ki gali me
.
Chalo Gam ke Maaro MADINE ki Janib,
Khusi Bat rahi hai NABI ki Gali me
.
Bhala Kaise Mujh ko Mesar Sakun ho,
Tabiyat Lagi hai NABI ki Gali me
.
Jise Mout Kehti hai " SAMS " ye Zamana,
Wahi Zindagi hai NABI ki Gali me
--
No comments:
Post a Comment