Chumke Paaye Sarkaar Ruhul Amin
Bole Dekha Nahi Aap Jaisa Haseen
Mere AAQA Ki Koi Mishal Nahi...
Jiske Sadqe Jahan Bhar Me Hai Roushni
Jiske Sadqe Gulon Ko Mili Saadgi
Jiske Sadqe Bane Aasamaan O Jameen
Mere AAQA Ki Koi Mishal Nahi
Pes Karta Hun Me Padh Ke “SALLEALA”
Ye Fariston Suno Nagma E Jan Fiza
Kar Raha Hun NABI Ka Me Jikre Haseen
Mere AAQA Ki Koi Misaal Nahi
Chand Se Meine Ek Din Kiya Ye Sawal
Kya Mere MUSTAFA Ki Hai Koi Misaal
Keh Utha Karke Khum Wo Bhi Apni Jabeen
Mere AAQA Ki Koi Misaal Nahi
Jiske Maathe Pe Hai Taaz E Sher O Shukhan
Jisko Kehte Hain Sab Taajdaar E Sunan
Wo Bhi Kehne Lage Marhaba Aafrin
Mere AAQA Ki Koi Misaal Nahi
Rue Anwar Se Rousan Hai Ye Kayenaat
Unki Chasme Karam Se Hai Din Or Raat
Chehra Was-Shams Hai Aankh Hai Surmali
Mere AAQA Ki Koi Misaal Nahi
No comments:
Post a Comment