Tuesday, October 1, 2013

NABI Ke Paseene Ki Yaad Aagayi Hai full lyrics

Bahare Jeena Ka Hua Zikr Jis Dam,
MADINE Ke Zarre Ki Yaad Aagayi Hai,
Gulabo Chameli Se Faili Jo Khusbu,
NABI Ke Paseene Ki Yaad Aagayi Hai.


Sitaron Ki Baaten Bohot Khub Lekin,
Nazaron Ki Baaten Bohot Khub Lekin,
Mujhe Khak E Paaye NABI Chumne Do,
Ke Purnoor Talwe Ki Yaad Aagayi Hai.


Jo Momeen Hain Wo Hargiz Marte Nahi Hain,
Haqikat Hai Ye Dawa Nahi Hai,
Dalil Pe Jab Mujhse Manga Kisine
 To Kalyar Ke Dulhe Ki Yaad Aagayi Hai.

Sada Apni Palkeen Bheegoti Hain Maayen,
Chaba Kar Loqma Khilati Hain Maayen.
Chala Tazkira Jab Gilaf e Haram Ka,
To Maa Ke Dopatte Ki Yaad Aagayi Hai...

Jahazo Ka Udna Hawaon Me Dekha,
Wo Rocket Ka Chalna Falaon Me Dekha..
Jo Science Ko Meine Fizaon Me Dekha,
To KHWAZA Ke Jute Ki Yaad Aagayi Hai.

Darayega Kya Mujhko Tufan Gamka,
 Dehel Jayega Seena Julm O Sitam Ka,
HUSSAINI Hun Main, Mout Se Kiun Darunga.
NABI Ke Nawase Ki Yaad Aagayi Hai...


Kahin Bhi Rahun Me Nahi Hun Akela,
Mere Sar Pe Rehta Hai Walion Ka Shaya.
Kabhi Dham, (Dham Nagar) Ajmeer, Kaliyar, Kabhi To
Bareilly, Kachochy Ki Yaad Aagayi Hai.,

.

Maine Ye Kab Kaha Mujhe Dunya Ka Maal De lyrics

Maine Ye Kab Kaha Mujhe Dunya Ka Maal De
Mujh Ko Gada Bana Ke MADINE Me Daal De

Kehte Rahe BILAAL Yahi Har Makam Par
Niklegi Meri Jaan MUHAMMAD Ke Naam Par
Aisa Mere Seene Me Ishq e BILAAL  De
Mujhko Gada Bana Ke MADINE Me Daal De


Jo Bhi HUZUR Ko Kahe Apni Tarah Basar
Bistar Uthaye Phirte Rahe Ye Wo Jalwagar
Aise Munafikon Ko Nagar Se Nikaal De
Mujhko Gada Bana Ke MADINE Me Daal De


Peshe NABI Jo Aaye To Yaksar Badal Gaye
Patthar UMAR Ke Moum Ki Tarha Pighal Gaye
Ho Gar Kisi Ke Paas To Yesi Mishal De
Mujhko Gada Bana Ke MADINE Me Daal De


Muddat Se Mere Dil Me Basi Hai Ye Aarjoo
Jalwa RASOOL e PAAK Ka Dekhun Me Rubaroo
Moula Tu Mere Kalb Ki Hasrat Nikaal De
Mujhko Gada Bana Ke MADINE Me Daal De


Noor E Haq Ke Jalwon Ne lyrics

Noor E Haq Ke Jalwon Ne,, Dil Ko Jag Maga Dala
MUSTAFA  Ki Aamad Ne,,  Kufr Ko Mita Dala


Deene MUSTAFA Teri, Aabroo Bachane Ko
FATEMA Ke Beton Ne,  Ghar Ka Ghar Luta Dala


Thar Thara Gaye Jalim,, Khof Se Huye Larjaat
Ek Nanhe ASHGAR Ne,, KARBALA Hila Dala

Ruth Gaya Kalam Jab Bhi,, Mere AALAHAZRAT Ka
Dushmanon Ke Sajis Ko,, Khak Me Mila Dala

Adna Si Karamat Hai,, Mere KHWAZA BABA Ki
Pure ANA SAGAR Ko,, Ek Piyale Me Sama Dala...

Friday, September 27, 2013

Rehmat E Do Aalam Ka Jaan Nishaar Ho Jaye

Rehmat E Do Aalam Ka Jaan Nishaar Ho Jaye
Bhik Maangne Wala Taj Daar Ho Jaye


Aur Wo Kisi Se Dar Jayen Yeto Ho Nahi Sakta
Seerat E MUHAMMAD Se Jisko Pyar Ho Jaye


Ho Nigahe MOMEENMe Kam Se Kam Jalal Itna
Khar Phul Ho Jayeen Phul Khar Ho Jaye


Dono Haath Faila Kar Khud Bulayegi JANNAT
Jiska Safa E Mehsar Jimmahdaar Ho Jaye


Gar Ishara Ho Jata Dusri Bhi Ungli Ka
Chand Ek Lamhe Me Do Se Char Ho Jaye


Usko Aatis E Dojakh Bhi Jala Nahi Sakti
Jo NABI Ki Galion Ka Khak Saar Ho Jaye


Jindagi Sanwar Jaye Aakherat Bhi Banjaye
Jo MUJAHID E MILLAT Pe Nishaar Ho Jaye

AAQA Ki Gulami ke Daayere Me Aa Jao
Phir Ye Gair Mumkin Hai Apni Haar Ho Jaye


Hum NAAT e NABI Padh Ke Taqdeer Jaga Lenge Sajjad Nijami Naat lyrics

Hum NAAT e NABI  Padh Ke Taqdeer Jaga Lenge...
Ek Roz Hamen AAQA TAIBA Me Bula Lenge


Gardis Ne Jamane Ki Gar Hum Ko Kabhi Cheda/Ghera
Hum KHWAZA Piya Tum Ko Aawaz Laga Lenge...

Dekhege Wo Ghar Apna JANNAT Ke Baharon Me
Jo Aaj DUROODON Ko Honton Pe Saja Lenge


Jo Bajm Me AAQA Ki Baithege Aqidat Se
Dozakh Se Bachenge Wo JANNAT Me Jagah Lenge


KHWAZA Ke Wasile Se Maidaan E Kayamat Me
Hum Jaise Gulamon Ko SARKAAR Bacha Lenge


Ye Kaash Kabhi Apna TAIBA Me Sawera Ho
SARKAAR Ke Rouze Ko Aankhon Me Basa Lenge


Sajjad Nijami Pe AAQA Jo Karam Karden

TAIBA Ki Baharon Me Ghar Apna Bana Lenge

Mere AAQA Ki Koi Mishal Nahi

Chumke Paaye Sarkaar Ruhul Amin
Bole Dekha Nahi Aap Jaisa Haseen
Mere AAQA Ki Koi Mishal Nahi...


Jiske Sadqe Jahan Bhar Me Hai Roushni
Jiske Sadqe Gulon Ko Mili Saadgi
Jiske Sadqe Bane Aasamaan O Jameen
Mere AAQA Ki Koi Mishal Nahi


Pes Karta Hun Me Padh Ke “SALLEALA”
Ye Fariston Suno Nagma E Jan Fiza
Kar Raha Hun NABI Ka Me Jikre Haseen
Mere AAQA Ki Koi Misaal Nahi


Chand Se Meine Ek Din Kiya Ye Sawal
Kya Mere MUSTAFA Ki Hai Koi Misaal
Keh Utha Karke Khum Wo Bhi Apni Jabeen
Mere AAQA Ki Koi Misaal Nahi


Jiske Maathe Pe Hai Taaz E Sher O Shukhan
Jisko Kehte Hain Sab Taajdaar E Sunan
Wo Bhi Kehne Lage Marhaba Aafrin
Mere AAQA Ki Koi Misaal Nahi


Rue Anwar Se Rousan Hai Ye Kayenaat
Unki Chasme Karam Se Hai Din Or Raat
Chehra Was-Shams Hai Aankh Hai Surmali

Mere AAQA Ki Koi Misaal Nahi

Saturday, September 21, 2013

Meherbaan Mujhpe Nabion Ka Agar Sardar Ho Jaye

Meherbaan Mujhpe Nabion Ka Agar Sardar Ho Jaye
Ye Dawa Hai Ke Aasi Khuld Ka Haqdaar Ho Jaye


Jamane Ka Sataya Hun Pareshan Haal Rehta Hun
Karam Ki Ek Nazar Mujh Par Mere SARKAAR Ho Jayee


Fakat Me Hi Nahi Balke Sabhi Ossaq Kehte Hain
Kisi Din Ya RASOOL ALLAH Tera Deedar Ho Jayee


Me Palkon Se Buha Lunga Mere Aaqa Teri Galiyaan
Bulawa Ek Din Mera Mere SARKAAR Ho Jayee


Kasam ALLAH Ki Galiyan MADINE Ki Suhani Hai
Wahan Ek Baar Jana Ho To Beda Paar Ho Jayee

Tamanna Hai Dil e SAJJAD Ki Muddat Se Mere Moula
Nazara Gumbad E Khazra Mujhe Ek Baar Ho Jayee

Meri Kismat Mein Bhi Aisa Koi Sajda Kar De..

Meri Kismat Mein Bhi Aisa Koi Sajda Kar De..! 

Jo Mere Saare Gunahon Ka Madava Kar De..! 

Saari Duniya Se Chura Kar, Mujhe APNA kar De..!

Meri Mitti Ko Khudaya Sona Kar De..! 

Main Tera Chahne Wala Hun Magar Hain Hasrat... 

Jin ko TU Chahta hai Mujh Ko Bhi Vaisa kar De..! 

Ek Nazar Apne Gunahgaar Pe Kar Ke MOULA.. 


Apni Rehmat Ka Haqdaar Hamesha kar De..! 


Hoga Ek Jalsa Hasr Me Aisa full lyrics

Hoga Ek Jalsa Hasr Me Aisa  
Jisme SARKAAR Ki Ajmat Me Khitabat Hogi..
Sadr E Mehsar Hamara RAB Hoga 
Hazrat E Bulbule Sidra ki Nikabat Hogi..


Hoga Sar MUSTAFA Ka Sajde Me
Jab Pareshan Ke Aalam Me Ye Ummat Hogi..
RAB Kahega Ye Mera Wada Hai
Usko Bakhsunga Teri Jisme Muhabbat Hogi..


Me Padhunga HADAIQE BAKHSIS
Jalsa E Hasr Me Gar Mujh Ko Ijajat Hogi..
Sunke Naara Lagaenge SUNNI
Aur Wahabi Ke Liye Dohri Kayamat Hogi..

AALAHAZRAT Bulaye Jayenge
Jab Wahan Hind Ke Hassan Ki Hajat Hogi..
Tu Hai Ek Razwi Naat Khwan FAIZI
Isliye Teri Bhi Us Jalse Me Dawat Hogi..

Ye Wasiyat Hai Ek Mujjadid Ki,
Kad Ki Mikdaar Me Gehri Meri Turbat Hogi..
Uth Sakun Me Paye Adab Fouran
Jis Ghadi Kabr Me AAQA Ki Jiyarat Hogi..




Friday, August 9, 2013

AALAHAZRAT Ka Tarana Lyrics

AALAHAZRAT Ka Tarana ,     Jab Sunayega Diwaana

Sun Ke SUNNI Machalta Rahega.. AALAHAZRAT Ka Danka Bajega

 ...

Ilm O Hiqmat Ka Usko Khazana Mila ...  Jisko AHMAD RAZA Ka Jamana Mila

Dekho Aisa Naqee Ka Gharana Mila,,,  Khuld Ka Jis Jagah Se Thikana Mila

Ye Jamane Ko Sunado..         Saari Dunya Ko Batado,,

Abto Razwi Hi Sikka Chalega.. AALAHAZRAT Ka Danka Bajega

 ......

Jab Gulam E Raza Ki Sawari Chale..     Deobandi Ke Seene Pe Aari Cahle..

Jab Wo Banke Raza Ki Katari Chale..  Saans Bhi Deobandi Ki Bhari Chale

AALAHAZRAT Ka Mastana..     Jo RAZA Ka Hai Deewana

Dusmanon Se Wo Dat Ke Kahega...  AALAHAZARAT KA DANKA Bajega..

 .......

AALAHAZRAT Ka Nagma Sunaate Raho.. Leke Naam E RAZA Muskurate Raho..

Aur Naara E AALAHAZRAT Lagate Raho.. Jalne Walon Ko Har Dam Jalate Raho..

SUNNI Iska Gam Na Karna.. Har Dam Aage Badhte Rahna,,

Jalne Wala Hamesha Jalega.. AALAHAZARAT Ka DANKA Bajega..
...


Wednesday, August 7, 2013

Dunya me jo jiye hain KHUDA ki raza ke sath

Dunya Me Jo Jiye Hain KHUDA Ki Raza Ke Saath..
Jannat Me Jaa Rahe Hain RASOOL e KHUDA Ke Saath..

Itra Rahe Hain Apne Muqaddar Pe UMMATI
Kiun Ke Hai Unka Rista Dar E MUSTAFA Ke Saath

Abu Bakkar Or Umar Ki Muhabbat To Dekhiye
Hain Aaj Bhi Mazar Me KHAIRUL WARA Ke Sath...

Rahon Se Door Ho Gayeen Duswariyaan Meri
Nikla Me Apne Ghar Se Jo MAA Ki Dua Ke Saath

Ye Najdion Na Tum Se Banegi Kabhi Meri
Tum Thanwi Ke Saath, Me AHMAD RAZA Ke Saath

Aaye Jo Mout Lene Mujhe Ye Mere Khuda
Naat E NABI Ko Padh Ke Me Jaaun Kaza Ke Saath



YA RAB Meri KISMAT Me Aisa SAFAR Likh De

Aansu Bikhre Hai ANWAAR-E-MADINE Me

Jis Waqt Se Hai SARKAR MADINE Me


YA RAB Meri KISMAT Me Aisa SAFAR Likh De


SEHRI Karu *MAKKE Me   Aur   IFTAR Ho *MADINE Me
Noor E Awwal Ke Sadqe Mili Rousni..
Phul To Phul, Kharon Me Hai Dilkashi..
Sahne Dil Me Chitakne Lagi Chandni..
Chand Bhi Jhum Kar Keh Raha Hai Yahi...
Ya NABI Ya NABI Ya NABI Ya NABI


Dil NABI Ki Mohabbat Se Aabad Hai
Jo Hai Gafil NABI Se Wo Barbaad Hai..
Jo Gulam E NABI Hai Wahi Saad Hai..
Haath Pe Jaib Se Aayi Aawaz Bhi
Ya NABI Ya NABI Ya NABI Ya NABI


Unke Kadmon Ko Chume Ye Dharti Gagan
Unki Khusboo Se Maheke Jawar E Chaman
Paake Unka Paseena Ye Boli Dulhan
Nasl Dar Nasl Jannat Ki Khusboo Chali
Ya NABI Ya NABI Ya NABI Ya NABI


Saare Aalam Pe Unki Nawazis Hui
Rahmat O Noor Ki Aisi Barish Hui
Me MADINA Chalun Jab Ye Khwahis Hui
Dil Ki Dhadkan Kahe Bas Yahi Har Ghadi
Ya NABI Ya NABI Ya NABI Ya NABI


Aaj Dilkash Ki Dilkash Jo Aawaz Hai
Sarwar E Deen Ki Midhat Ka Ezaaz Hai
Madhe SHAHE UMAM Meri Dam Saad Hai
Ruh Nikle Gi Ye Gungunati Hui
Ya NABI Ya NABI Ya NABI Ya NABI


Wednesday, July 24, 2013

Jab Jab Apne AAQA Ko Hum Yaad Karte Hain..

Jab Jab Apne AAQA Ko Hum Yaad Karte Hain..
Khud Ko Gam E Jamana Se Aazad Karte Hain..
.
Ped bhi sajda karte hain AAQA ke kadmon per
Jaanwar bhi unse hi faryaad karte hain...
.
Bade Mubarak hain jo jehen o dil ke gulsan ko..
Zikr e NABI صلى الله عليه وآله وسلم ki khusboo se Aabaad karte hain..
.
Mushkil me YA GOUSH AGISHNI kahte hi fouran...
Chasm e Inayat SARKAAR e BAGDAAD karte hain..
.
Dilkash ye ahsaan hai mere AALAHAZRAT ka...

Aaj hum Ursh o Fateha MELAAD karte hain...

Takdir Ka Imtehan Hai,, Zara Intezar Karna

Takdir Ka Imtehan Hai,, Zara Intezar Karna

Kuch RAB Pe,, Kuch Khud Pe AITBAR Rakhna

Manzil Zarur Milegi is PAAK Mahine Me

Bus Apni IBADAT Hamesha Barkarar Rakhna 

Ye Dil Sambhal Ke GUMBAD E KHAZRA Hai Saamne...

Ye Dil Sambhal Ke GUMBAD E KHAZRA Hai Saamne...

 ALLAH Ke HABIB KA ROUZA Hai Saamne...

Mehraabe KAABA Sajde Me Jiske Liye Jhuki...

SALLEALA Ko KAABE Ka KAABA Hai Saamne...

RAB Ne Banaya Dono Jahan Ko Jinke Waste...

Wo Do Jahan Ka MAALIK O MOULA Hai Saamne...

Tere Paas Fikre JANNAT, Mere Paas Hai MADINA

Are Jahid E Jamana …   Ye Mauazna Hai Kaisa,,,
Tere Paas Fikre JANNAT,,, Mere Paas Hai MADINA..
.
Meri Jindagi Ki Kasti ..  Hai Fhasi  Huyi Bhawar Me
Mere MUSTAFA Bacha LoMera Dubta Safina
.
Wo Mehek Uthi Hain Naslen …
Wo Damak Uthe Hain Chehere..

Jo Dulhan Ko Mil Gaya Hai.. Tere Jism Ka Paseena…

Sarkar ke karam se banta hai kaam Apna,

Sarkar ke karam se banta hai kaam Apna,

Zikre NABI Wazifa hai Subho shaam Apna.


Duniya bhi ye ajab hai samjhe hai Mujhko kya kya,


Rakhte hai laaj AAQA hota hai naam Apna.


Mai kuch nahi hu lekin itna mujhe bahot hai,


Mujhko jo ya NABI tum kahdo ghulaam Apna.


sayyeda Tujhko Jannat ka fiqr kyu Sataye,


Unke karam se hoga jannat Maqaam Apna.



YA MOULA

Zard patton me pada hoon MOULA
 .
Sabz Shakhon se jura hoon MOULA

 .
Un ke sadqe me ata kar IZZAT

 .
Jin ki UMMAT mein khada hoon MOULA....

.

Main To MADINE Ka Faqeer Hu...

Na Raees Hu Na Ameer Hu,

Na Mai Badshah Na Wazir Hu,

Tera Ishq Hai Meri Saltanat,

Usi Saltanat Ka Faqeer Hu,

Aye JAMAL-E-AHMED-E-MUSTAFA Teri Roshni Ka Aseer Hu,

Mujhe Bakhsh De Mere KHUDA
Main To MADINE Ka Faqeer Hu...

Duniya Ki Kitabo Me Quraan Chamakta Hai

Duniya Ki Kitabo Me Quraan Chamakta Hai

Quraan Me ALLAH Ka Farman Chamakta Hai
Jo Aadat Banale Quraan Ki Tilawat Ki
ALLAH Ki Nazro Me Wo Insaan Chamakta Hai

Sunday, July 14, 2013

Ashiqe Mustafa ban ke dekho, Sari Dunya me izzat milegi..

Ashiqe Mustafa ban ke dekho,  Sari Dunya me izzat milegi..
.
Mera dawa hai roz e kayamat,,  Unke Sadqe me Jannat milegi..
.
Khaliqe e dojahan ki ata se,  Khul gaya hai abhi bhi Khazana..
.
Maang lo chalke rouze pe inke,  jitni chahoge doulat milegi..
.
Me gunahgaar hun ye to Sachhai,  phir bhi dawa hai ahle jahan se..
.
Chir kar mere seene ko dekhe,,Isme aaqa ki ulfat milegi..
.
Maa ke kadmon me jannat basi hai,,  unki khusion me rab ki khusi hai..
.
Ghar se niklo to dua leke unki,,  Har jagah fatha Nusrat milegi..
.
Ishq e ahmad ne jab jab rulaya,,  Dil ne usko ye Mujda sunaya…
.
Sabr Par di Sarwar pe taalib,  ,Kabr me sahadat milegi..
.
Khwahis e Shaan o Shawkat na  kartu,,Lalach e maal o doulat na kartu..
.

Naat Padhtu Parwaaz Dil se,,  Hasr me iski Keemat milegi… 
.

Sallaho Alaihi Wasallam

Jis ko tere karam ka sahara dikhai de..

Jis ko tere karam ka sahara dikhai de..
.
Phir kiun na wo bhi arsh ka tara dikhai de…
.
Ya Rab meri bhi kabr bane us jameen par,,
.
Har dam jahan se gumbad e khazra dikhai de…
.
Mujhko bhi bakhs wana khuda se mere Huzur..
.
Mehsar me jab na koi sahara dikhai de..
.
Jis waqt meri rooh mujhe alvida kahe..
.
Ankhon ko tera husn sarapa Dikhai de..
.
Jiski nazeer dono jahan me kahin nahin..
.
Phir kaise uski jaat ka shaya dikhai de..
.
Jisko panah mil gayi daaman me shah ke..
.
Dojakh ka kis liye use khatra dikhai de..
.

.
Sallaho Alaihi Wasallam

Receive All Free Updates Via Facebook.