Wednesday, July 24, 2013

Sarkar ke karam se banta hai kaam Apna,

Sarkar ke karam se banta hai kaam Apna,

Zikre NABI Wazifa hai Subho shaam Apna.


Duniya bhi ye ajab hai samjhe hai Mujhko kya kya,


Rakhte hai laaj AAQA hota hai naam Apna.


Mai kuch nahi hu lekin itna mujhe bahot hai,


Mujhko jo ya NABI tum kahdo ghulaam Apna.


sayyeda Tujhko Jannat ka fiqr kyu Sataye,


Unke karam se hoga jannat Maqaam Apna.



No comments:

Post a Comment

Receive All Free Updates Via Facebook.